Tuesday, July 27, 2010

ASTITVA

BOOND KA ASTITVA BHI MIT JAATA HAIN
PEHLI BAARISH KE BAAD
GHAMAND HAIN HAMARA NAHI MITTA
100 THOKORE KE BAAD
~
PYAAR KI ULJHANE,
JAWANI KI KASHMKASH
CHAL JAATI EK UMRA KE BAAD
BAS REH JAATA TAJURBA YAAD
~

KAHI PE JINGHUR KE AWAAZE
KAHI PE NAL KI TAP-TAP
MIT JAATA HAIN SAB KUCH
EK DASTAK KE BAAD
~

SAMAI KA RAHA DASTOOR
NAA RUKA KISI KA GUROOR
AATA SABKA KAAL
MIT JAATA SABKA ASTITVA

Monday, July 19, 2010

Aisi Thi Ek Udaan!!

~
Aisi thi Ek Udaan
Khula Pankh ,Neela Aasman
Tod Ke Ghonsle Ki Deewar
Bharni thi Ek Unchi Udaan
~
Udne Ka Gyan Naa Tha
Par Hounsla Bhi Kam Naa Tha
Chotte Pankh ,Khula Aasman
Le Li Maine Ek Unchi Udaan
~
Udaan Naa Pasand Aayi Usko
Bhej Diya Usne Vikraal
Kaale Baadal ,Ghanghor Hawa
Jhel Naa Sakaa Jisko Main
~
Toot Gaye Saare Armaan
Le Gaya Woh Saari Udaan
Sif Toote Pankh,Khula Aasmaan
Bas Reh Gayi
"AISI EK UDAAN"